Hindi ka istaqbal English ki tehreer

15:13

Shayad ye mera pahla blog hai jo main apni zabaan me likh raha hun, Kabhi khyaal aata hai ki kya koi is zabaan ko padhta bhi hoga ? agar padhta hai to kya kabhi kuch sochta bhi hoga ? Aaj humari zindagi mein ek soch si kayam ho gayi hai ki agar aap hindi ka istimal karein to aap ek bahut pichre hue tabke se tallukh rakhte hain, log aapko ek touheen bhari Nazar se dekhenge , log kahenge to kuch nahi bs aapke bare me andaaze lagainge aur mahfilon me uchalenge. Mera angrezi me likhna wajib tha jo maine apne saare pichli baton me zikr kiya hai wo zabaan angrezi hi thi , ek tabqa hai jo angrezi ko bade chaav se padh raha hai jo aaj ka convent da hai , jo angrezi schoolon se padha hua hai , jo angrezi college se degree le aaya hai. Mai nahi jaanta ki wo hindi ko bhi utne hi chaav se padhta hai ki nahi par padhta to hoga hi . Kabhi samose aur pakode khane baithta hoga to zaror kuch harf akhbaar ke haath me aaye honge aur zaroor usne socha hoga ki kya is zaban se mera tallukh hai koi ?
Bade faqr se kahta hai woh ki , mai angrezi jaanta hun ,
Zara pooch usse ki kya who khud ko janta hai !!

Mai ye nahi kahta ki kya galat hai aur kya sahi hai par jab girehbaan me jhankta hun to zaroor sochta hun ki sach hai ki maine seekh li angrezi par kya ye bhi sach hai ki maine seekh liya khud ko utarna angrezi mein. Ye sach hai ki is duniya mein agar aage badhna hai to angrezi seekhna hoga , koi ek bhasha kitne logon tak pahunchti hogi ? Koi ek bhasha ko koi kitna parhta hoga? Bahut kam hi honge jo isko padhte honge par kya kuch log nahi hain jo angrezi bilkul nahi jaante wo bilkul nahi jante koi haraf uska , kya unke liye bhi koi likhta hoga , aaj aap kahoge ki agar internet par koi baith kar blog padhega to kya wo hindi padhega , google bhi soch me padta hoga ki koi hindi bhi search karta hai kya? Hum kitna bhi hindi ki baat kyun na karen mai abhi script to angrezi ki hi istimal  kar raha hun.

Bahut aarzoo se maine khud ko pesh kiya apni zabaan mein,
Baad mein yaad aaya ki harf to abhi bhi udhaar ke hain !!

Ye kuch aisa maashra khada ho gaya hai ki hum bhool gaye hain ki khud ko jitna aacha hum apni khud ki bhasha me samjha sakte hain utna udhaar liye hue nahi , maana ki aaj saari zarrortein angrezi bhasha se hi poori hoti hain , aaj koi bhi kaam aisa nahi jahan iske bagair kuch hassil ho jai par kya ye bhi zaroori hai ki apni bhasha ko qurbaan kar dein , kya ye zaroori hai ki koi ek bhasha acchi hai aur ek buri , mere mutabik to bilkul nahi agar bhashaon ka takaza ho sakta hia to sirf is baat par ki log kisko jaante hai , par aaj bhi ek aam aadmi apni matrbhasha se zyada lagaav karega banizbat kisi aur se. Aaj bhi log samjahte hain apni hi bhasha mein bhale hi koi kitni bhi acchi baat bata de. AAj bhi log ghazlon ko zyada doob kar sunte banizbat koi English pop ko. Kya zaroori hai ki aap angrzi mi likho tabhi accha likhoge ? kya koi American hindi ko translate kar ke padhta hoga jaise hum angrezi ko translate karke padhte hain? Kya batein logon ki samjh me zyada khud ki bhasah me aati hain ya jo likhte hain unki bhasaha mein? Bahut se sawaal hain magar jawaab khain nahi.

Mai samjha raha ek bhasha ki ahmiyat ahle zamaane ko,
Zara pooch mjhse kya mai khud ise samajh paaya !!

Bahut hi gahraiyun me sochta hun to paata hun ki bahut si bhashayen aaye is zamane me aur bahut se logon ne bahut kuch seekha harek bhasha mein par kisi ne ye bhi nahi kaha ki ye accha hai aur ye bura, Is bhasha me likhoge to ye acchi baat aur nahi likha to ye buri baat, Kya wajah hai ki log ghabrate hain baat karte hue ki kahin beizzati na ho jaye , agar ki kabhi badi mahfilon me ek dossri bhasha ka galat istimaal bhi garta hai to log adab se samjha kyun nahi dete ki kya sahi hai aur kya galat aur mazaak is baat ka banate hain ki tmhare muh se harf sahi nahi nikal rahe?

Badi bechain raahein hain , Bade kism ke swaal hain,
Kis bhasha me kaho main bataon tmko,
Ki Mere dil mein kya khayaal hain !!





0 comments

comments

You Might Also Like

.

.

Popular Posts

recent posts