zara ab tahar jao

12:58

dikh rahe logon ke murjhaye se Chehre ,
Ye jhuki si Nazar aur ye bujhe se tewar,
Ye sisakti aahen aur ye mayoos roohen,
Ye gham aakhir kis baat ka hai ,
Ye pareshani kis sabab se hai,
Ye uljhane kis wajah se hai,
Ye shikan kis tarah se hai,
Ye kyun itni besabri hai aur Ye kyun hi halchal hai ,
Ye kyun itni jaldi hai aur ye kyun hi aafat hai,
Zara tahro to Sahi, Kahin to ruk jaao,
Ek baar sambhal kar, Pairon par tik jao,
Ye thokron se wasta hai to Kya hai,
Ye nafraton ka tajurba hai to Kya hai,
Ye dhoke ki zindagi hai to kya hai,
ye haadson ki khabar hai to kya hai,
Zara tahro to Sahi, Kahin to ruk jaao,
Ek baar sambhal kar, Pairon par tik jao,
Ye shahar bejaan hai nafraton ka ambaar hai,
dilon mein hasad hai baahen besharam hai,
Ye aala muqaam bhi tanz payaam hai,
charagon sa bujhta lau e aam hai,
ye tez udte sawaar kahan pahunchna chahte hain,
Signal par ruk kar saath mein shor hi machate hain,
kabhi dayen se aur kabhi bayen se ye hualate hain,
ye rafta rafta khud ko bhi ek samaan banaate hai,
itni jaldi aur tez ki duniya mubtala hai,
ye bachpan ko jawaani ke naam se bulate hain,
ye chaar paison ko paise nahi maante hain,
aur khazane ko bhi ye kam batlate hain,
Ye unchi imarton mein baith kar khud ko gareeb batate hain,
aur jab bhookha nanga dikh jaaye sadak par to use mazloom batate hain,
ye mahngi gaadiyun ke shauk rakhne waale kuch chehre,
khud ko duniya ki zulm ka ek aaina batate hain,
ye atom bomb ki hod kahan ki aqalmandi hai,
ye tel ke kuon se tmhe kyun itni hamdardi hai,
ye masoom bilakhte logon par gas giraana,
ye kis daur ki hubul watani hai,
Zara tahro to Sahi, Kahin to ruk jaao,
Ek baar sambhal kar, Pairon par tik jao,
Ye itni aafat nahi ki ab jahan mita jaata hai,
Abhi se kyun tmhe qayamat se naata hai,
bakhsh do ab ye unche tevar koi inse nahi darta hai,
koi daud nahi lagi hai jahan ye saara sabka hai,
kisi ko aag lagakar jhulsa dena,
kisi ko goli se chalni kar mita dena,
kisi ko nivaale cheen kar rula dena,
kisi ko parivaar hatakar yateem kar dena,
ye kyun itni nafrat hai aur ye panapti kahan se hai,
ye tmhe apnon mein bhi kya dikhti zara si hai,
ye itni shiddat se qatl e aam karna,
phir usi shiddat se ibadat karna,
jis khuda ne mana kiya lahu,
phir usi khud ki raah me lahu larna,
zara tahar jao , ab to ruk jao,
ek baar sambhal jao , khud par tik jao,
itni tez bhaage ki sab chor aaye ,
insaan hokar bhi jaanwar se badtar ho aaye,
mohabbat aur imaan ki baat karte karte ,
nafrat aur tamashe ke beej bo aaye,
bahut taraqqi pasand baaten karte karte,
machinon ke ghulam ho aaye,
asaani ke liye ijaad karte karte ta umr,
maut ke waqt khud ko mushqil me daal aaye,
ye koi ajeeb sa intezaar nahi karna hai,
bs jo hai usi ko aam karna hai,
azaadi hai to jee lo dil khol kar,
kisi ko nahi ab ghulaam karna hai,
traash karni hai to hunar ki kar lo,
nahi koi ab barood aur kisi ko barbaad karna,
zara sab ab tahar jao , ab to kuch ruk jao,
ek baar sambhal jao , khud par tik jao ||

0 comments

comments

You Might Also Like

.

.

Popular Posts

recent posts